hawas-e-waqt ka andaza lagaya jae raat pagal hui darwaza lagaya jae aashna shahr ki aankhon mein naya shakhs lagun aisa chehre pe koi ghaza lagaya jae bite mausam mein jo phal aae kasile nikle ab koi ped yahan taza lagaya jae bhagte daudte shahron ko pinha kar zanjir khalwat-e-jaan ka bhi andaza lagaya jae main bikhar jaun na kaghaz ki tarah kamre mein tez tufan hai darwaza lagaya jae