jhonka hawa ka adh-khuli khidki tak aa na jae jine ka us ko koi saliqa sikha na jae kankar se chaknachur hai sayyal aaina qirtas-e-mauj ka koi likkha mita na jae uryan khadi hui ye siyah si pahad shab suraj ki infiali nazar ko jhuka na jae jab se hui hai meri zaban zahr-ashna amrit ka ek ghunt bhi mujh se piya na jae gardish mein aasman mera sath de magar meri hatheliyon ki lakiren mita na jae kal ek ajib waqia guzra 'shakeb-ayaz' sochun to khud pe khub hansun aur kaha na jae