hawas jalwa nahin zauq-e-tamasha bhi nahin kisi chehre pe tere chehre ka dhoka bhi nahin gham-gusari ki tawaqqoa na dilase ki umid kya qayamat hai ki main ishq mein ruswa bhi nahin wahi mil baithna pahron wahi ahbab ki bazm khud-farebi ka bhala ho ki main tanha bhi nahin husn sar-ta-pa taghaful hai riwayat ke nisar tajraba apna ye kahta hai ki aisa bhi nahin samna ho to wahi bojh sa jaise dil par tum se mana ki kisi baat ka parda bhi nahin aage aage koi mashal si liye chalta tha hae us shakhs ka kya nam tha puchha bhi nahin sirf khalwat ki hai shokhi ki abhi tak us ne 'shaz' kah kar mujhe mahfil mein pukara bhi nahin