khar-o-khas fakhr-e-chaman hain gul-e-khandan kam hai bagh virana ziyaada hai gulistan kam hai har masiha ko junun jashn-e-masihai ka har nafas dard ki tashhir hai darman kam hai bhul jate hain ki har zakhm zaban rakhta hai sochte hain ki meri tegh numayan kam hai rahm ai chaara-garan hadd-e-rafu se guzre chaak daman hai bahut tar-e-gareban kam hai sae qatil nazar aate hain sadaen dushman khauf hi khauf hai khatraat ka irfan kam hai wo na aaen to bane dard ka darman duri zulm to ye hai na aane ka bhi imkan kam hai qurb-o-duri to faqat waqt ki majburi hai har ghadi aane ka imkan hai ye ehsan kam hai