mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho khushi ho is mein ya ho gham hamein bhi ho tumhein bhi ho ghanimat tum ise samjho ki is khum-khane mein yaro nasib ik-dam dil-e-khurram hamein bhi ho tumhein bhi ho dilao hazrat-e-dil tum na yaad-e-khat-e-sabz us ka kahin aisa na ho ye sam hamein bhi ho tumhein bhi ho hamesha chahta hai dil ki mil kar kije mai-noshi mayassar jam-e-mai-e-jam-jam hamein bhi ho tumhein bhi ho hum apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho rahe hirs-o-hawa daim azizo sath jab apne na kyunkar fikr-e-besh-o-kam hamein bhi ho tumhein bhi ho 'zafar' se kahta hai majnun kahin dard-e-dil mahzun jo gham se fursat ab ek dam hamein bhi ho tumhein bhi ho