usi ne hijraten kuchh aur bhi bitai thin wo shakhs jis ke liye kashtiyan jalai thin mila tha kya tumhin bolo azim phankaro mere qalam ne to gum-namiyan kamai thin abhi to hath mein hi sang-pare the lekin sukut-e-ab pe kitni kharashen aai thin uda ke barg-e-khizan-dida ki tarah ek roz usi ne puchha tha phir aandhiyan kab aai thin kisi ko qissa-e-paki-e-chashm yaad nahin ye aanhken kaun si barsat mein nahai thin talluqat mein sanjida mod jab aae to ehtiyaten bahut us ki yaad aai thin