hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya to aa ke chashmon ko dekhe meri ki yan se hai ibtida-e-dariya habab un ko na samjho yaro ye uthte pani mein hain jo har-dam badan khula jo kisi ka dekha khule hain ye ida-e-dariya darun-e-girdab ab jo ja kar phansi hai kashti hamari yarab sarishk-e-yas ab bhi hai jo aankhon se kya kahen majra-e-dariya sarishk-e-chashm aur aah-e-sozan ne mere ai wae ek pal mein bahut se jangal kiye hain sarsabz aur kitne sukhae dariya uthaega jab talak na 'nusrat' tu warta-e-ishq ki mashaqqat to hath aawega kyunki tere wo gauhar-e-be-baha-e-dariya