shafaq ka rang ka khushbu ka khwab tha main bhi parae hath mein koi gulab tha main bhi na jaane kitne zamane mere wajud mein the khud apni zat mein ek inqalab tha main bhi kahaniyan to bahut thin magar likhi na gain kisi ke hath mein sada kitab tha main bhi na jaane kyun nazar-andaz kar diya mujh ko jahan pe tum the wahin dastiyab tha main bhi andhere bone ka un ko junun tha jaise chamak mein apni jagah aaftab tha main bhi tumhi nahin the samundar ke paniyon ki tarah kabhi sukun kabhi iztirab tha main bhi na puchho kitna maza guftugu mein aaya hai zahin wo bhi tha hazir-jawab tha main bhi