hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke dip jalao kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liya hai tasawwuraat ke dhundle charagho rah dikhao kahan hai gardish-e-dauran kidhar hai sail-e-hawadis sukun-e-marg-e-musalsal mein dubne lagi naw kabhi khizan ke bagule kabhi bahaar ke jhule samajh sake na zamane ke ye utar chadhao ajib sa hai kharabaat ke faqihon ka fatwa bhadakte shoalon se tapte dilon ki pyas bujhao hazar gardanen kham hon bura nahin pe sitam hai khayal-o-fikr ki pasti nigah-o-dil ka jhukao