manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai dil phir kisi safar ka saman kar raha hai ya rat-jagon mein shamil kuchh khwab ho gae hain chehra kisi ufuq ka ya phir ubhar raha hai ya yunhi meri aankhen hairan ho gai hain ya mere samne se phir tu guzar raha hai dariya ke pas dekho kab se khada hua hai ye kaun tishna-lab hai pani se dar raha hai hai koi jo batae shab ke musafiron ko kitna safar hua hai kitna safar raha hai