jazba-e-ishq ka meayar sanbhaale hue hain

jazba-e-ishq ka meayar sanbhaale hue hain
aaj tak hum rasan-o-dar sanbhaale hue hain

us ka didar kahan us ka to saya bhi nahin
sirf yaad-e-lab-o-rukhsar sanbhaale hue hain

gungunate nahin ab hum bhi purani ghazlen
wo bhi pazeb ki jhankar sanbhaale hue hain

aabid-o-zahid-o-waiz to hue gosha-nashin
ab haram ko ye gunahgar sanbhaale hue hain

baghban karte the phulon ki hifazat pahle
aaj ye farz khas-o-khar sanbhaale hue hain

the qayamat ke se aasar magar khair hui
amn ka zimma razakar sanbhaale hue hain

shaikh sahab ka hai is daur mein jina mushkil
ye ghanimat hai ki dastar sanbhaale hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close