kya kuchh mila na hum ko mahrumi-e-nazar se kuchh daw mustanad se kuchh zakhm mo'atabar se chhedo na saz dil ka sahmi hui nazar se badhti hai be-qarari taskin-e-mukhtasar se kitni badal gai hain insaniyat ki qadren hum zindagi ke hathon khud zindagi ko tarse kitni buland himmat hain zindagi ki nazren takra rahi hain badh kar ab waqt ki nazar se kaam aai apne 'akhtar' diwangi khud apni bach bach ke chal rahe hain har ek ki nazar se