hayat-e-ulfat ki chandni mein masarraton ki kami nahin hai magar muqaddar ko kya karun main nazar wo pahli jo thi nahin hai wo ibtida ishq ki thi hum ko gila tha jab dard-e-be-kasi ka magar shabab-e-junun to dekho shikayat-e-be-rukhi nahin hai teri mohabbat hai zahr shirin teri wafaen hasin dhoke hai lakh dushman agarche duniya magar ye tujh se buri nahin hai hazaron tufan se ishq khele hazar dil mein hujum-e-gham ho magar fareb-e-wafa jo khae wo zindagi zindagi nahin hai kamal-e-ishq-o-wafa ke partaw jahan-tahan jagmaga rahe hain ye sab fareb-e-nigah-o-dil hai kisi mein kuchh dilkashi nahin hai wo aur honge aish-e-duniya ki aarzuon mein mar rahe hain wo chiz main kyon pasand kar lun jo hasil-e-bandagi nahin hai teri wafaon ke aasare par had-e-tasawwur se badh gaya hun maqam aisa ab aa gaya hai teri kami bhi kami nahin jawan hai ab meri mohabbat shabab par hain meri duaen hai mauqa-e-khud-kushi to ai 'raj himmat-e-khud-kushi nahin hai