kabhi sar pe chadhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya kabhi mujhe baha kar le jae kabhi mujh mein aan bahe dariya gata hun mere sur mein sur mil jae us ki lahron ka meri aankh mein aansu dekhe to phir apni aankh bhare dariya main apni use sunata hun wo apni mujhe sunata hai main chup to wo bhi chup hai aur main kahun to baat kahe dariya kahin barf lapete baitha hai kahin ret bichha kar leta hai kabhi jangal mein dera dale kabhi basti aan base dariya ai dariya! tera pat bada, ai dariya! tera zor bada ai dariya! gum ho kar tujh mein qatre ka nam pade dariya ai shaer! tera dard bada ai shaer! teri soch badi ai shaer! tere sine mein is jaisa lakh bahe dariya