sher achchha ho to phir dad mila karti hai kahin aawaz kitabon mein chhupa karti hai ek lamha bhi farishta nahin hone deti koi to shai hai jo baatin mein khata karti hai chain se mujh ko tera husn na jine dega dil ki basti hai ki har roz luta karti hai pyas kaisi thi behtar ki tumhein kya malum kyun furaat aaj bhi ro ro ke baha karti hai tum wafa karte raho shahr-e-talab mein 'mazhar' karne do us ko ye duniya jo jafa karti hai