hayat maut hai goya us aadmi ke liye

hayat maut hai goya us aadmi ke liye
jo sari umr tarasta raha khushi ke liye

wo rind rind nahin pi ke jo bahak jae
ki zarf ki bhi zarurat hai mai-kashi ke liye

gham-e-firaq mein jaisi hamari haalat hai
koi bhi itna pareshan na ho kisi ke liye

kiya hai dost ne aane ka wada aaj ki shab
charagh dil ka jalana hai raushni ke liye

'munir' gham ka mudawa karo na bhul ke tum
wajud-e-gham bhi zaruri hai zindagi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close