hota har qaid se aazad to achchha hota kash main ped se tuta hua patta hota wo hai bas ek sarab us ka taaqub na karo abr hota to kahin tut ke barsa hota chand ban kar hai tu muhtaj-e-ziya-e-khurshid shama banta to kisi ghar ka ujala hota chhin lin mujh se ujalon ne teri yaaden bhi is se behtar tha ki duniya mein andhera hota na sahi mere liye sai-e-mudawa na sahi kam se kam tum ne mera haal to puchha hota