hayat ras na aae ajal bahana kare tere baghair bhi jina pade khuda na kare main roz marta hun is intizar ke sadqe bura na man agar zindagi wafa na kare hum ek ho gae do din mein kis tarah allah yahi dua hai koi tisra juda na kare manaya jashn-e-shab-e-gham ki ek din to kata jo tujh se chhut ke jita rahe wo kya na kare main apni raushni-e-taba se larazta hun mera junun mujhe manzil se aashna na kare main kya bataun ki qurbat ka fasla kya hai ki jaise ghar to banae koi raha na kare