hazar bar miti aur paemal hui hai hamari zindagi tab ja ke be-misal hui hai isi sabab se to parchhain apne sath nahin hai saubat-e-safar-e-shauq se nidhaal hui hai sukun phir bhi to wahshat-sara-e-dil mein nahin hai nigah-e-yar agarche sharik-e-haal hui hai khushi ke lamhe to jun-tun guzar gae hain yahan par bas ek saat-e-gham katni muhaal hui hai lakir nur ki jo aasman-e-dil pe bani hai andheri raat ka hamla hua to dhaal hui hai