khud masiha khud hi qatil hain to wo bhi kya karen zakhm paida karen ya zakhm-e-dil achchha karen dil rahe aaluda-daman aur hum dekha karen aaj ai ashk-e-nadamat aa tujhe dariya karen jism-e-azadi mein phunki tu ne majburi ki ruh khair jo chaha kiya ab ye bata hum kya karen khun ke chhinton se kuchh phulon ke khake hi sahi mausam-e-gul aa gaya zindan mein baithe kya karen ja-ba-ja taghiyi-e-haal-e-dil ke charche hain to hon hum hue ruswa magar ab hum kise ruswa karen han nahin shart-e-murawwat hasrat-e-tasir-e-dard rahm aa hi jaega un se taqaza kya karen shauq-e-nazzara salamat hai to dekha jaega un ko parda hi agar manzur hai parda karen zarf virana ba-qadr-e-himmat-e-wehshat nahin lao har zarre mein paida wusat-e-sahra karen marg-e-be-hangam 'fani' wajh-e-taskin ho chuki zindagi se aap ghabraate hain ghabraya karen