hum na but-khane mein ne masjid-e-viran mein rahe hasrat-o-arzu-e-jalwa-e-jaanan mein rahe khun hai wo jis se ki ho daman-e-qatil rangin khun fasid hai jo khali sar-e-mizhgan mein rahe hum ne masnua se sane ki haqiqat pai be-sabab hum nahin nazzara-e-khuban mein rahe subh khurshid ko dekha hawas-e-ariz mein sham se raushni-e-sham-e-shabistan mein rahe toda zunnar ko tasbih ko phenka hum ne ishq-e-rukh tha hawas-e-nur-e-darakhshan mein rahe ja-ba-ja hum ko rahi jalwa-e-jaanan ki talash dair-o-kaba mein phire sohbat-e-rahban mein rahe khalwat-e-dil ki na kuchh qadr ko samjhe haji tauf-e-kaba ke liye dasht-o-bayaban mein rahe un asiron ko hui qaid-e-tayyun se najat jo ki paband tere gesu-e-pechan mein rahe is zamin mein ghazal ek aur bhi likkho 'bahram' ye do-ghazla to bhala aap ke diwan mein rahe