hazaron aarzuen sath hain is par akeli hai hamari ruh be-bujhi hui ab tak paheli hai budhapa ho to ho us rabt mein kyun kar khalal aae meri yas-o-tamanna bachpane se sath kheli hai ajal bhi tal gai dekhi gai haalat na aankhon se shab-e-gham mein musibat si musibat hum ne jheli hai adam ka tha safar jab aur kuchh tosha na hath aaya bahut si aarzu chalte chalate sath le li hai zara dekho to un utre hue chehron ko phulon ke maaz-allah jhonka hai khizan ka ya ki seli hai kabhi jamne na deti be-khudi khatir pe naqsh un ka ba-mushkil main ne ye taswir usi ayyar se li hai hamari aur gulon ki ek hai nashw-o-numa lekin wahan mutthi mein zar hai aur yahan khali hatheli hai na puchho 'shad' virani ko dil ki kya bataun main tamanna ja chuki hasrat gharib is mein akeli hai