hazar hikmaten zehnon mein Dal deta hai

hazar hikmaten zehnon mein dal deta hai
musibaton se wo sab ko nikal deta hai

chamakti chizon pe huzn-o-malal deta hai
khushi mein ranj ka pahlu nikal deta hai

sab us ki maslihaten hain bashar ko duniya mein
kabhi 'uruj kabhi wo zawal deta hai

sabhi ko milta nahin mansab-e-khud-agahi
kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai

usi ke dam se hai baqi ye raunaq-e-duniya
jo aandhiyon mein diyon ko ujal deta hai

wo apne bandon ki sab hajaten samajhta hai
har ek chiz hamein hasb-e-haal deta hai

wahi zamane mein karta hai surkh-ru hum ko
hunar hamein jo ‘adim-ul-misal deta hai

nazar jo pher le kangal ho ke rah jaen
jo aae dene pe kasrat se mal deta hai

wo is liye ki natija ba-khair ho sab ka
hamare zehnon ko fikr-e-maal deta hai

usi ke fazl se zehn-e-rasa mila hum ko
wahi hai jo hamein unche khayal deta hai

ye nakhuda ka nahin hai khuda ka kaam 'zaki'
bhanwar se jo meri kashti nikal deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close