khayal-e-yar ka maskan hai sahab ye dil anwar ka makhzan hai sahab khulen asrar kaise zindagi ke nigahon par padi chilman hai sahab pasina aa gaya qaus-e-quzah ko bada rangin pairahan hai sahab teri aawaz-e-pa samjha tha jis ko mere hi dil ki ye dhadkan hai sahab faqat ki thi himayat sach ki main ne ye duniya jaan ki dushman hai sahab na jaun chhod kar hindostan main mere ajdad ka aangan hai sahab daba rakkha hai main ne khwahishon ko ye dil ehsas ka madfan hai sahab