phir aisa mod is qisse mein aaya main sadiyan ghum kar lamhe mein aaya mera rasta kisi jangal se guzra ki khud jangal mere raste mein aaya kisi ke arsh par hone ka dawa samajh ek shab mujhe nashshe mein aaya main apne ghar badi muddat se ke baad aaj kisi mehman ke dhoke mein aaya tera kirdar chalte-phirte ek din meri rudad ke kuche mein aaya yunhi ek din hujum-e-khal-o-khad mein nazar khud ko wo aaine mein aaya munderon se utar kar khauf koi dabe panw mere kamre mein aaya