hazar qaid-e-khizan se chhut kar bahaar ka aasra karenge bahaar bhi ham-qafas-zadon ko na ras aai to kya karenge ab aur us ke siwa na hogi qafas mein taskin-e-dil ki surat chaman ki jaanib nazar utha kar kabhi kabhi hans liya karenge ye kya khabar thi ki sham-e-furqat mere liye sazgar hogi wo mah-o-anjum ki aad le kar mere fasane suna karenge hamare mashrab mein thi na jaez dar-e-haram ki ye jubba-sai ye farz-e-na-khushgawar lekin ab un ki khatir ada karenge nigah ki bandishen salamat junun ki pabandiyan musallam kahin bharam khul gaya to ai dil main kya karunga wo kya karenge ye dekhna hai ki baad tark-e-talluqat ai 'shakil' kab tak na koi hum par jafa karega na hum kisi se wafa karenge