nahin nikle zaban se un ke dhoke mein jo han ho kar guman badle yaqin ho kar yaqin badle guman ho kar khatakta hun zamane ki nazar mein nim-jaan ho kar mohabbat mein hua kanta zaif-o-na-tawan ho kar diya dars-e-amal duniya ko sargarm-e-fughan ho kar jagaya mere nalon ne zamane ko azan ho kar chhupae se kahin chhupta hai jalwa husn-e-fitrat ka ayan hai wo nihan ho kar nihan hai wo ayan ho kar ye hai ejaz-e-ulfat aaj tak aashiq jo zinda hai wagar na mit chuka hota wo benam-o-nishan ho kar bhala is tarah ka jina bhi hai jina koi 'shoala' nigahon mein subuk ho kar zamane par garan ho kar