ye jo talab hai dariya tha kabhi main yahan baith ke rota tha kabhi tirgi ne wahan dekha hai mujhe raushni ne jahan socha tha kabhi apni tafhim ka zindani lafz shakh-e-mani pe chahakta tha kabhi ab chara-gah hai tabiron ki mere khwabon ka jazira tha kabhi yaad padta hai teri fursat mein main kisi kaam se aaya tha kabhi aaj roti hai jo mere upar main isi baat pe hansta tha kabhi ab to nazren bhi chura leta hai jo mujhe khwab dikhata tha kabhi apni wusat ko nikalta ye hujum meri tanhai se uljha tha kabhi ye jo andar ka tamashai hai mere bahar ka tamasha tha kabhi