zindagi KHugar-e-sadmat kahan thi pahle

zindagi khugar-e-sadmat kahan thi pahle
itni majburi-e-haalat kahan thi pahle

meri mushtaq-nigahi ka karishma hai ye
aap ke husn mein ye baat kahan thi pahle

ye to nairang-taraazi mere ehsas ki hai
fasl-e-gul baadal-o-barsat kahan thi pahle

sadqa-e-ahl-e-junun hai ye bahaar-e-gulshan
bu-e-gul mazhar-e-jazbaat kahan thi pahle

aap ke ishq ne maruf kiya hai mujh ko
itni mashhur meri zat kahan thi pahle

mai-kashi lai hai mujh ko dar-e-mai-khana tak
warna saqi se mulaqat kahan thi pahle

phir diya ranj buton ne tumhein shayad 'naghmi'
lab pe din-raat munajat kahan thi pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close