wahshat firaq khauf tera dhyan al-aman kitni balaen hain meri mehman al-aman aankhon ko khira kar gaya ek jalwa-e-sharir aur dil ko kha gai teri muskan al-aman ek silsila juda tha ki phir aankh khul gai kis darja ho gaya mera nuqsan al-aman ai husn-e-dil-fareb zara der ko fareb karne laga hai hijr pareshan al-aman ai ish-e-mehrban koi dam koi darud milta nahin koi bhi nigahban al-aman aise nikalna hai teri bazm-e-jamal se jaise kisi badan se koi jaan al-aman