ho ke khush naz hum aison ke uthane wala koi baqi na raha agle zamane wala khwab tak mein bhi nazar aata nahin ai chashm mere ro dene pe ashkon ka bahane wala aaj kuchh sham se chup hai dil-e-mahzun kya ilm kyun khafa hai mera raaton ka jagane wala be-khudi kyun na ho tari ki gaya sine se ashk-e-khun aath-pahr mujh ko rulane wala kab samajhta hai ki jina bhi hai aakhir koi shai apni hasti teri ulfat mein mitane wala mohtasib khush hai bahut tod ke khum-ha-e-sharab gham nahin sar pe salamat hai pilane wala ho gae dekhne wale bhi jahan se nayab ab dikhae kise hairan hai dikhane wala tere bimar-e-mohabbat ki ye haalat pahunchi ki hataya gaya takiya bhi sirhane wala samna us but-e-kafir ka hai dekhen kya ho khud hai shashdar mera iman bachane wala 'shad' ek bhid lagi rahti thi jis ghar mein wahan aane wala hai na ab koi na jaane wala