hazaron parde mein parda nahin hai wo jalwa ho ke bhi jalwa nahin hai wajud-e-ghair hai apna nahin hai wahi qatra hai jo dariya nahin hai anal-haq mein burai kya hai waiz mohabbat mein khuda kya kya nahin hai luta de jalwa ai husn-e-sarapa nigahon par koi pahra nahin hai safiran-e-mohabbat jaante hain ki manzil hai magar rasta nahin hai ajab ye masala hai mai-kashon ka kabhi saqi kabhi sahba nahin hai gulon ke dam se hai pindar-e-hasti abhi nikhat ne ye samjha nahin hai meri aankhon ki duniya ko to dekho jahan tum ne abhi dekha nahin hai use jis nam se chaho pukaro mohabbat ka koi firqa nahin hai meri har sans hai mansub us se meri qismat mein jo likha nahin hai gham-e-mazi pe matam karne walo gham-e-mazi gham-e-farda nahin hai