hazin hai bekas-o-ranjur hai dil mohabbat par magar majbur hai dil tumhaare nur se mamur hai dil ajab kya hai ki rashk-e-tur hai dil tumhaare ishq se masrur hai dil abhi tak mast hai makhmur hai dil kiya hai yaad us yaad-e-jahan ne ilahi kis qadar masrur hai dil bahut chaha na jaen tere dar par magar kya kijiye majbur hai dil faqiri mein use hasil hai shahi tumhaare ishq par maghrur hai dil tere jalwe ka hai jis din se maskan jawab-e-jalwa-gah-e-tur hai dil do-alam ko bhula den kyun na 'akhtar' ki us ki yaad se mamur hai dil