pahle dukh dard kai dil mein sambhaale main ne phir kiya khud ko tere gham ke hawale main ne kyun khule tujh pe safar mein thi aziyat kaisi kab dikhae hain tujhe ruh ke chhaale main ne tu ne har gam jo bakhshe hain andhere mujh ko un andheron mein tere khwab ujale main ne teri taswir mere pas thi yani tu tha din tere hijr ke is khwab mein tale main ne tere gham se kiya duniya ke ghamon ka chaara yani ek khar se sab khar nikale main ne shahr walon ne inhen abr-e-karam samjha naz apne aansu jo hawaon mein uchhaale main ne