wah kya aalam ajab hai intizar-e-yar ka nam hai didar-e-hasrat hasrat-e-didar ka sair hai jannat ki sairon se tere aashiq ka dil le ke jannat kya kare bhuka tere didar ka zarra-e-dil mein utar aae hazaron aaftab kya karishma hai khyal-e-jalwa-gah-e-yar ka badh chala tha teri ghaflat se bhi bar-e-bekasi maut ne puchha mizaj aa kar tere bimar ka jaante hain ek jhalak mein jaan-o-dil mit jaenge log munh takte hain tere talib-e-didar ka dhyan mein us ke do-alam se khincha baitha hun main yani ek naqsha khincha hai jazb-e-husn-e-yar ka jis ko kahte hain muqaddar aashiqan-e-bad-nasib hai wo ek bigda hua khaka mizaj-e-yar ka