hichkiyan le ke na ro qabr pe rone wale jag jaen na kahin chain se sone wale na-khudaon pe yaqin soch-samajh kar karna la ke sahil pe dubote hain dubone wale fasl-e-nau talkh na hogi to bhala kya hogi bij zahrile agar boenge bone wale qatra qatra mere is khun ki gawahi dega lakh daman se lahu dho mera dhone wale kya milega tujhe zardar se nafrat ke siwa pairahan apna pasine mein bhigone wale dekh ai gardish-e-dauran nahin takra hum se sar pe tanhai ka hum bojh hain dhone wale krishn ki radha se kah do ki zamane mein 'mayank' ab wo andaz kahan shyam salone wale