kyon tum rishte-nate aur wo sath nibhana bhul gae aisi bhi kya baat hui ghar aana-jaana bhul gae kuchh to baat hui hogi jo is darja naraaz ho tum sath tumhaare phul chaman ke hansna hansana bhul gae umr ke sath badalte rishte tum ko bahut mubarak hon lekin tum bachpan ka apne guzra zamana bhul gae pas tumhaare ab nahin aate bhaunre ban kar dil wale jab se apne jude mein tum phul sajaana bhul gae bachpan bita aai jawani umr hui rasmon mein qaid aur hum donon chand ki jaanib hath badhana bhul gae nindon ne to mujh se kab ka rishta tod liya lekin tum bhi to raaton mein milne aana-jaana bhul gae dekho ye ilzam ghalat hai nazren churaata tum se 'mayank' tum bhi to wo sharm-o-haya se nazren jhukana bhul gae