sozish-e-gham ki inayat kabhi aisi to na thi aaj hai dil ki jo haalat kabhi aisi to na thi apni hasti ka bhi ehsas nahin hai jaise khud-faramoshi-e-wahshat kabhi aisi to na thi sazish-e-dida-o-dil rang hi lai aakhir khoi khoi si tabiat kabhi aisi to na thi ai gham-e-ishq ye tera hi karam hai shayad ab hai jo zist ki surat kabhi aisi to na thi un nigahon ne hi kuchh sehr kiya hai warna zindagani mein hararat kabhi aisi to na thi apne hi khun-e-jigar ka to ye faizan nahin mausam-e-gul mein tarawat kabhi aisi to na thi mauja-e-nur ne phir sar na uthaya ho kahin sahmi sahmi hui zulmat kabhi aisi to na thi aaj kyon zad pe hain us ki ye mah-o-mehr-o-nujum azm-e-insan ki jasarat kabhi aisi to na thi un mein ehsas-e-khudi jag raha hai 'mansha' warna zarron mein tamazat kabhi aisi aisi na thi