jite-ji mere har ek mujh pe hi tanqid kare aur mar jaun to duniya meri taqlid kare main to kahta hun ki tum abr-e-karam ho lekin kash sahra mere alfaz ki taid kare jab har ek baat nihan tishna-e-takmil rahe phir kare koi to kya jurat-e-tamhid kare pahle har shakhs gareban mein apne jhanke phir ba-sad-shauq kisi aur pe tanqid kare main samajhta hun ki mujh sa koi maghmum nahin haal har shakhs ka lekin meri tardid kare main hi ab zahar piye leta hun sach ki khatir koi to sunnat-e-suqraat ki tajdid kare wo mari jurat-e-parwaz ko kya samjhega jo fazaon ko muhit-e-mah-o-khurshid kare