saman-baron se chaman daulat-e-numu mange hawa-e-daman-e-gul gesuon ki bu mange taraaz-e-shokhi-e-pa hai gyah-e-sabz ki mang khiram-e-naz ka andaz aab-ju mange bikharti zulf se tute ghurur-e-shab ka tilism sahar ka husn fusun-e-rukh-e-niku mange waraq waraq gul-e-tar mauj mauj baad-e-sahar badan ka lams tere pairahan ki bu mange shigaf-e-koh na tha tesha-e-wafa ki talab ye ju-e-shir abhi aur kuchh lahu mange shikasta-e-shisha-e-pindar ki sada bhi sun karam ki bhik jab us sang-dil se tu mange kahan wo shokh magar apna nutq-o-lab 'gauhar' usi ka zikr pae-zeb-e-guftugu mange