hijab koi nahin hai naqab koi nahin meri khuli hui aankhon mein khwab koi nahin hai bas sukun hi sukun iztirab koi nahin is inqalab ke baad inqalab koi nahin hayat-e-ishq mein ye waqfa-e-sukun kaisa sawal koi nahin hai jawab koi nahin jahan-e-ilm ka yaro ajib hai dastur ki madrase to bahut hain nisab koi nahin shab-e-siyah mein bhala kaun aane wala hai koi nahin dil-e-khana-kharab koi nahin talab ki rah mein har shakhs hai barabar ka yahan sabhi hain samundar sarab koi nahin shab-e-firaq kuchh is tarah mutmain hun 'ziya' ki jaise dida-o-dil par azab koi nahin