hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost mere bistar par mujhe tadpa rahi hai bu-e-dost khatm zinat ho gai mashshata ne le lin balaen gesu-e-pur-kham ne chume shana-o-bazu-e-dost imtihan quwwat ka hai talwar uthai jati hai ab to is qabil hue hain panja-o-bazu-e-dost zakhm khata badh ke main aur wo lagata badh ke tegh dil mera badhta to badhti quwwat-e-bazu-e-dost ghat gaya yan khun aur wan fasd ka saman hua aa gaya ghash mujh ko jab bandha gaya bazu-e-dost jaan aadhi rah gai dekhi jo ghusse ki nazar dil pe ek bijli giri jab hil gae abru-e-dost mujh ko jin se ishq hai un ko hai mujh se dushmani yan wo aate the ki uljhe panw gesu-e-dost kaba jis ko log kahte hain makan hai yar ka arsh-e-azam nam rakhte hain zamin-e-ku-e-dost mere sine mein hui kyun khana-e-dil ki bina ye makan banne ke qabil thi zamin-e-ku-e-dost zakhmi-e-ulfat hun main sehat nahin hogi mujhe bhar rahi hai dil ke zakhmon mein hawae ku-e-dost bakhshti hai ruh ko har martaba ek tazgi mujh ko marne hi nahin deti hawa-e-ku-e-dost talib-e-didar hain hai saf aankhon se ayan go ki munh se kuchh nahin kahte gada-e-ku-e-dost dushman iza dete hain har martaba mujh ko 'rashid' ghussa aata hai magar main dekhta hun su-e-dost