sukun-e-qalb mayassar kise jahan mein hai teri zamin mein kahan wo jo aasman mein hai maza hayat ka us shakhs se kabhi puchho jo tez dhup ki chadar ke saeban mein hai palak se tut ke jab ashk khak mein mil jae samajh lo tab ye gharib-ul-watan aman mein hai mujhe bhi gunga banaenge ek din ye log mahal ka aib jo poshida is zaban mein hai wafa khulus mohabbat bhi bik rahe hain miyan har ek chiz mayassar meri dukan mein hai usi ki zat se is ghar ki bach gai izzat jo khote sikke ki manind khandan mein hai bitha diye hain kisi ne hawaon par pahre tabhi to itni ghutan jism ke makan mein hai bichhadte waqt jo tum ne kaha tha mujh se kabhi wo jumla aaj bhi mahfuz mere kan mein hai