jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha kal raat mere git ke mukhde pe nur tha naghma sa chhedti thin tajalli ki ungliyan tauret ka nuzul ba-lahn-e-zabur tha wo sath sath aur pahunchna tha us talak har aan ek marhala nazdik o dur tha haibat ke baam par thi bulawe ki raushni thi waswason ki sham pa jaana zarur tha har pech koi waqia har mod koi yaad us ke badan ke sath mera la-shuur tha ek bhid mujh se muntazir-e-inkishaf thi main tha muraqabe mein magar be-huzur tha