pahle to un ko udne udane ki pad gai phir aasman zamin pe lane ki pad gai kya kya ganwa diya hai mohabbat mein aaj tak ek din mujhe hisab lagane ki pad gai ab tak qadim zakhm hararat mein the mere zalim ko apna zulm badhane ki pad gai jiddat gham-e-hayat ki dil mein liye hue main ro raha tha us ko hansane ki pad gai izhaar-e-ishq karne hi wala tha un se mein wapas unhen to aate hi jaane pad gai main bhi lahuluhan hun wo bhul hi gaya us ko to apna zakhm dikhane ki pad gai dam aakhiri hai lab pe mera us ko dosto is haal mein bhi chhod ke jaane ki pad gai kuchh nekiyan bhi tu ne kamai hain kya 'malik' daulat to be-shumar kamane ki pad gai