ibtida mein jahan-numa hua main baad mein qafila-zada hua main ek tahayyur se aashna hua jab khud tak aane ka rasta hua main raat kal aasman tha khali apne kamre mein tha bujha hua main dar bhi darwaza ho gaya aakhir kahan thahrun safar kiya hua main ek aahat aur ek sannata darmiyan jin ke chikhta hua main kan hathon se dhanpta hua tu apni aawaz ghontta hua main sham ka dubta hua suraj aur suraj ko ghurta hua main jitne alfaz the khule mujh mein shaeri se hara-bhara hua main