hijr ke tapte mausam mein bhi dil un se wabasta hai ab tak yaad ka patta patta dali se paiwasta hai muddat guzri dur se main ne ek safina dekha tha ab tak khwab mein aa kar shab bhar dariya mujh ko dasta hai sham-e-abad tak takrane ka izn nahin hai donon ko chand usi par garm-e-safar hai jo suraj ka rasta hai tez nahin gar aanch badan ki jam jaoge raste mein us basti ko jaane wali pagdandi yakh-basta hai aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha pet hai khali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai lafzon ka bewpar na aaya us ko kisi mahngai mein kal bhi 'qasir' kam-qimat tha aaj bhi qasir sasta hai