hijr ki aankhon se aankhen to milate jaiye hijr mein karna hai kya ye to batate jaiye ban ke khushbu ki udasi rahiye dil ke bagh mein dur hote jaiye nazdik aate jaiye jate jate aap itna kaam to kije mera yaad ka sara sar-o-saman jalate jaiye rah gai ummid to barbaad ho jaunga main jaiye to phir mujhe sach-much bhulate jaiye zindagi ki anjuman ka bas yahi dastur hai badh ke miliye aur mil kar dur jate jaiye aakhirash rishta to hum mein ek khushi ek gham ka tha muskuraate jaiye aansu bahate jaiye wo gali hai ek sharabi chashm-e-kafir ki gali us gali mein jaiye to ladkhadate jaiye aap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir aag hi dil mein lagani hai lagate jaiye kuch hai khwabon se tabiron ki samton mein to phir jaiye par dam-ba-dam barbaad jate jaiye aap ka mehman hun main aap mere mezban so mujhe zahr-e-murawwat to pilate jaiye hai sar-e-shab aur mere ghar mein nahin koi charagh aag to is ghar mein jaanana lagate jaiye