mashal-e-dard phir ek bar jala li jae jashn ho jae zara dhum macha li jae khun mein josh nahin aaya zamana guzra dosto aao koi baat nikali jae jaan bhi meri chali jae to kuchh baat nahin war tera na magar ek bhi khali jae jo bhi milna hai tere dar hi se milna hai use dar tera chhod ke kaise ye sawali jae wasl ki subh ke hone mein hai kuchh der abhi dastan hijr ki kuchh aur badha li jae