mera dil bhi mera ab dil kahan hai khuda jaane meri manzil kahan hai talatum hi talatum hain nazar mein meri kashti mera sahil kahan hai ba-zahir tut kar milta hai lekin wo pahla sa khulus-e-dil kahan hai tamazat-khez hai rah-e-masail batao rahbaro manzil kahan hai nae mausam nai ranginiyan hain magar wo raunaq-e-mahfil kahan hai zamana kah raha hai jis ko qatil nazar mein un ki wo qatil kahan hai